ek Awaaj hai,
jo bina kahe sab keh deti hai !
ek dhun hai ,
jo bina kisi maujoodgi ke "goonjti" hai !
ek shabdawali hai,
jo bina shabdo ke chaap chodti hai !
wo Awaaj,
wo saaj ki dhun,
wo shabdo ki shabdawali,
jaani jaati hai khamoshi ke naam se !
Sab kuch kehne ke Alaawa,
Yeh, khaamoshi
bina kaboole, kabool-naama krwa de,
Bas, saath milna chaihiye aankhon ka !
Comments
Post a Comment